"NIKAMMA" YE SHABD BOHAT LOGO KO JANA PECHANA LAGTA HOGO . YE DO PRAKAR KE HOTE HAI 1] KAMCHOR
NIKAMEE & 2] SAMAJDAR AUR MAJBOOR NIKAMME YE LEKH SAMAJDAR AUR MAJBOOR NIKAMME KE LIYE LIKH RAHA HU . Kya aake ghar me koi person nik
amma hai ?
kya aapko koi nikamma kehata hai? Aapko kya lagta hai , koi nikamma kyu banata hai ? kya nikamme vyakti (person) ko khali bhaitne me maja ata hai / mujhe pata hai aap ha kahenge/ ha mai janata hu ki kuch kamchor log hote, jinhe god bhi nahi sudhar sakte par sabhi ko ek hi taraju me tolna thik nahi hoga / par mera manana ye hai ke kuch vyakti samajdar , hunurmand hone par bhi nikkamme ho jate hai. in vyakti (ladies or gents dono) ko koi kushi nahi hoti kam ko talne ki / vo nikamme kudh ke marji se nahi bante/ paristhiti unhe nikamma banati hai / Agar paristhiti uske layak ho aur use pasand aane wala kam use karne diya jaye aur vo jiss carrier me apna future banana chahata hai use mil jaye, to mai 1000% gaurantee deta hu ki vo dusre hi din se kam me man lagakar jut jayenge aur aapna mukam hasil karke dikhayenge. par agar paristhitiya pratikul ho yani unjke mahke mutabik na ho to phir aap kitna bhi karle kitna bhi jor jabardasti karle vo kam nahi kar payega/ iska matlab ye na nikale ke vo vyakti aapke kam ko tal raha hai ,par aapko ye samjhana hoga ki vo vyakti aake diye gaye kam aapke lade hue ambition kyu nahi kar pa raha hai / Nature (God) ne har insaan ko aalag banayaaa hai, unhe alag hunar diye hai , har vyakti alag alag skhetra me nipun hai agar aap us vyakti ko dusra kam , ya phir alag field me jaane ke liye majboor karenge to vo vyakti aapni puri takat aapna dimag usme nahi laga payega aur phir vo baar usme asafal ho jayega. Is asafalta ya failure se vo nirash ho jayega uska man kisi chij me nahi lagaga aur vo nikamme ki taraha ghar bhaite rahega aur log sharab ka sahara lekh aapne har aapne failure ko bhulne ki koshish karenge .kuch suicide bhi karte hai. Inhi samajdar aur kartabvan vyakti chahe vo aadmi ho ya aurat unhe iss aandhkar se bachane ke liye hame unhe ummid ki kiran dikhani padegi/ Hame ye samjhana hog ke vo kya chahte hai , UNKI samasya kya hai , vo kis field me aapne carrier ko nikharna aur banana chahte hai/ aap dur ke kahana ya sunane par dyanna na de us vyakti se uski iccha jane . bohat log kahate hai ki "aab meri umar aab mai aapne dream pure nahi kar paaonga " ye darna aapne man & dimag se nikal de aur iss kahavat ka aapne jivan isstmal kare "JAB JAAGO TAB SAVERA " Mai inhi KARTABGAR IMANNDAR MEHANNATI NIKAMMO " KE RISHTEDAR UNKE Mata-pita bhai ya behan se ki inki madat kare inka sath de phir dekhiye ye aapke aur aapke parivaar ka naam roshan kaise karte hai. kartabgar logo yehi vakta uthiye aur dikha dijeye duniya ko ki aap nikamme nahi unhi aapki takat aapki samjdari ka namuna dikhaye aur chakit kar de aape KING SIZE SUCCESS se . kyuki itihas gavha hai ke koshish karne valo ki har nahi hoti /aapne saapne aapne parivaar ko bataye aur aapne sapno ko pura kare / Agar abhi bhi nahi samjhe to GOD bhi aapke liye kuch nahi kar sakta. aapko ye lekh kaisa laga aur ise padkar aapke jivan kya badlav aaye ye jarror bataye / Mai is lekh ka samapan ek mahan vichar se karna chahunga, | ||||||||||||||||||||||||
Friday, July 11, 2014
SUCCESSS
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment